Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

internet or W W kay Mojad

Go down

internet or W W kay Mojad Empty internet or W W kay Mojad

Post by Admin Tue Jul 14, 2009 2:16 am


internet or W W kay Mojad
Twisted Evil





youn to internet ka nezam 1983 may manzaray aam per aya jiss kay baad es ka

tejarte aam istamal shoro hova lekin internet ke boniyad 1969 may amrica kay

shobay dafae program ARPANCT may rakhe gaye yahan mahareen ke tawaja es baat per

the kay hassas qesam kay aed-da-do-shomr or malomat ko kiss tarahn khofia rakha

jaye or ak computer say dosray compter tak montaqil keya jaye.



amrica kay city new yourk kay town MANHATTCH may 6 years ( LEYONARAD CLAIN RAK )

kay demagh may super man ke book partay hovay kheyal aya kay vo radio sy anay

wale awazain kisi battery kay baghar sun sakta ha? CLAIN RAK nay apne mother kay

sath bazar ja kar kuch chezzain khreeden or ak small sa crystl radio bananay may

kameyabi hasel karle es kay baad ( LEYONARAD CLAIN RAK ) ke zindagi kay

mah-vo-saal radio engeniaring or electronics ke dinya may guzr nay lage .



1959 myn CLAIN RAK nay apne P H D kay leya moqala lekhnay ka fasla keya or mozo

kay leya aed-da-do-shomr kamr both nezam yani DATA NETWORK ka intekhab keya

technolegey ke yahi jahat internet ke buniyad bani. LEYONARAD CLAIN RAK ke

tahqeeqat or jostojo ka markaz ya tha kay kis tarahn computer kay nezam may

zeyada say zeyada aed-da-do-shomr or malomat ko ikhata keya jaye or phir esy

computeron tak montaqil keya jaye amrica kay shobay dafae programm kay sath

mnslak honay kay baad CLAIN RAK nay kae nezam banay or masheno ka hajm bhe chota

keya yahani per CLAIN RAK nay "long on" log or "log in" jase buniyad estalahain

ejad kee or december 1969 may amrica kay 4 mokhtalef city's may vaqea centeron

ko computer kay zareya ak dosray kay sath mar both karnay ka karnama sar anjam

diya.



Dafae mahareen ka etaraz yah tha kay es tarahn koi bhe apnay computer kay zareya

yah malomat hasel karsakta ha, LEYONARAD CLAIN RAK nay en mahareen ko qael

karleya or es nezam say dafae malomat ko koi kahtra nahi balkay zeyada logon kay

estamal say he faeda ha.



LEYONARAD CLAIN RAK ke achothe takhleeq yani internet ka aj pore duniya may

danka baj raha ha jabkay LEYONARAD CLAIN RAK nay khod naye naye raston per

gamzan ha ab es ke tawaja ka markaz computer or internet kay aysay nezam ke

tashkeel ha kay app chaltay phirtay kese bhe waqt kese bhe jaga internet ke

saholat say faeda ohta saktayn. internet Etelate technolegey may jo inqelab laya

ha es nay ejad or kheyalat kay naye afq daryaft keya han. app computer kay

samnay bath kar screen per world wide web ya www kay alfaz lekhtay han to phir

app kay samnay duniya jahan ke malomat samnay ajate ha ....http or www jaysay

jadoo bharay alfaz or nazam ka mojd TOM BARNARS LEE ha jisay ( time magzine )

nay ( 20 century ) kay SOZHAN afrad may shomar keya ha.



Jadeed zindage kay rokh tabdeel kardaynay wale estalat kay mojd TOM BARNARS ka

taloq bhe amrica say ha or khod es ko bhe ab yah malom nahi hova kay es kay

zahan say niklay hovay yah alfaz or nezam aenda ke insani zindagi may kya kya

inqeelab br paa karain gay. TOM BARNARS LEE es waqt WORLD WIDE WEB (

kansor-aysham ) ka dairectr ha computer seince ke IMT lebotry ka bani MSND

NASHYAN ha or amrica reyast MYSA CHOSTAYS kay city kamrj may rehaiesh pzaaz ha.



khod TOM BARNARS LEE kay kheyal may WEB ablagh ya tahqeeqe ka serf ak alaa nahi

ha balkay yah ak sooch ka naam ha zeyada azadee ka zareya samaje taraqee ka

zayna ha ayse taraqee jis ka khowab kabhe pahlay nahi dhaka geya ho lekin keya

ya alfaz haqeeqat per bane ha.keya internet nay ameer or ghareeb ke tafreeq ko

naye maenay nahi pahna deya. ameer vo jin kay pas malomat ka khazana or internet

ke tamam tar saholatain hain or ghareeb vo jawan saholatain say abhe bhe kosoo

dor han.



naye almee nezam may internet estamal karnay walay log yani NETIZENS en logon

per rak karain gay jin kay leya WEB ajnabi lafaz ha ghurishta saal ke iqvam

motaheda ke report barae insani taraqee kay motabiq asia jahan duniya ke total

abade 23 feesad hesa basta ha vahan internet estamal karnay walay bemshakal ak

feesad 15, karoor abade walay mulk pakisatn may serf ak lakh 25 hazar afrad

internet estamal kar rahay han barayazam africa may har 10 lakh ke abade may say

sirf 7 afrad internet estamal kar rahay han. in momalk may abade kay 40 feesad

hesay nay abhe tak apne zindagi may ak telefone call bhe nahi kee.



inhee khatraat kay payshay nazar maghreebee duniya may yah bahas shoro ho chuke

ha kay technologey estamal karnay walay or es say mahroom afrad darmeyan bharte

hove khalyj ko kiss tarahn kam keya jaye maze may taraqee-ya-afta or mzyaz

momalik kay darmiyan faraq ko schoolon kitaboon ostadoon or taleem ke buniyad

zaroorto say vahzia keya jata tha aj kal es faraq ke buniyad serif computer ha.



es waqt pore duniya may ablagh or tejarat ka mosa-tar zareya internet ha ONLINE

inqeelab ka mazheer BIIL GATES duniya ka ameer tareen shakhs ha duniya kay

bahtreen or sab say poranay MEDIA GROUP ( Time Warner ) ko internet company

amrican online nay khareed kar yah sabet kar deya kay anay wala zamana internet

ka ha es waqat internet kay zareya 28 Million afrad kahredare may masroof han.





Writtin by : DOCTOR HASHMAT JAH

publish by : Raheem-ullah



special thank's to Mr. Umar abdullah khan and Abdul Hai shakih



www.yahoomaza.net.tc

www.eirurdu.tk

www.yahoopics.co.cc



write me email on:

sweet.kaara@ymail.com



thank you.

ALLAH HAFIZ
Admin
Admin
Admin

Posts : 131
Join date : 2009-07-04
Age : 33
Location : Karachi

http://www.yahoomaza.net.tc

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum